Bojh nahi hai ya kisi par
Yeh hai aatm Nirbhar naari
Jaisi kisi khait main ho
Phoolon ki kyaari
Apne supno ko pankh deti khud
Khud hi udd jaati
Na hai koi sahara
Na koi saathi
Phir bhi yeh kisi se naa haari
Kyunki ye hai …..
Aatm nirbhar naari
Sir par bojh kaam ka hai
Samay nahi aaram ka hai
Tapti dhoop main jhulas rahi
Kadi thand main thithur rahi
Apni thakavat bhool gayi
Ye toh jag ki janani..
Phir bhi kose duniya saari
Ye hai aatm nirbhar naari
Jo badlegi duniya saari
Yahi hai aatm nirbhar naari….
Aatmnirbhar naari
by
Tags:
Leave a Reply